Funny jokes for kids Biography
source:- Google.com.pk
Aik dafa aik musafir ko apni manzil per jate huye rastey main raat ho gayi. Is ne rastey main aik musafir khane yani saraye main raat basar karne ka faisla kia. Musafir ke pas aik sufaid rung ka ghora bhi tha.
Is ne wo ghora saraye kay mulazim ko de kar kaha keh tumhain iski hefazat karni hai. Sath hi is ne yeh sonch ker keh mulazim so na jaye isey lohe ka bana huya aik aalah dia jis se bhison ko nahlate huye ragar ragar kar in kay jism ki gandagi saaf kartay hain aur kaha keh is se ghorey ke jisam ko ragarte ya ghaste rahna. Ye kah ker wo so gia.
Mulazim thuri dair to ghorey ke jism ko lohe ke aaley se ragarta raha. Phir ye soch ker ke yahan konse chor aayen ge main bhi so jata hoon wo bhi so gia.
Sobha jab mulazim utha to ye daikh ker bara pareshan hoya keh ghora chor le gaya hai. Ab malik ko kia jawab de ga. Is ke zehan main aik terkeeb aagaii.
Is ne jaldi se ja ker jungal se aik sufaid rung ka khargosh pakra aur isko lohe ke aaley se ghasna shuroo kar dia. Isi doran malik uth giya aur ghorey ko gayab daikh ker poocha ghora kahan hai aur ye tum kia kar rahe ho.
Mulazim ne khargosh ki taraf ishara kerke kaha. Janab ye ghora hi to hai. Sari raat ghaste ghaste itna sara rah gia. Ab aap batayain aur ghasoon ya bas karoon.
Aik dost (Doosray say): Tumhari ammi ko kaisay pata chala keh tum nay mun nahi dhoya?
Doosra dost : mein sabun bhigona bhool gia tha.
Iqbal (Ahmad say):dunya ka sab say taqat war aadmi kon hai?
Ahmad: traffic police jo sirf hath kay aik isharay say sainkron garyan rok leta hai.
Bhikari (Aadmi say) bhayi do ropay ka sawal hai?
Aadmi : Sirf do rupay hi ka kiun?
Bhikari: Mein aadmi ki awqaat deikh kar hi mangta hon.
Baap (betay say): Tum nay tareekh mein itnay kam number kiun liye hain?
Beta: “ Abbu tareekh kay parchay mein ziadah tar sawalat aisay puchay gaye the jo meri paidaish say pehlay kay the.”
Jokes for Kids:
Aik perley darge ke sust-ul-wajood shaks ne apne aik dost se kaha. Bhai meri to hamesha qudrat ne madad ki hai.
Kaise?
Sust aadmi bola.
Main ne kuch darakht girane ka program banaya tha ka toofan aagia aur kuch darakht gir gia is kay baad mujhe kura karkat ke dher ko jalana tha kay aasmani bijli karki aur kura karkat kay dher khud ba khud jal kar rakh ho gia.
Ab kia program hai.
Dost ne sust-ul-wajood se pucha.
Mera program zameen se aaloo gajarain nikalne ka hai aur main is kam ke liye zalzaley ka muntazir hon.
Funny jokes for kids In Hindi for Kids for Adults In Urdu In English Photos Wallpapers Images
Funny jokes for kids
Funny jokes for kids In Hindi for Kids for Adults In Urdu In English Photos Wallpapers Images
No comments:
Post a Comment